sarfire hain log Kya karen bhram se ghire hain log, apne saaye se dare hain log. Maanaa ki hai yah andheron kaa nagar, par yahan bhee kuchh khare hain log. Lipt tere mere main hain ve sadaa, swaarth se bhee kuchh pare hain log. Dhah gayee deewaar jo thee ret kee, kyaa pataa kitne mare hain log. Jal nadee kaa paras kar rogee huye, kah rahe hain vo, tare hain log. Kar rahe hain milaawat PRABHU bhog main, DHARM se kyon yoon gire hain log. Tikat le tatkaal darshan ho rahe, SHYAM, kaise sarfire hain log. --Dr. Shyam Gupta
HTML Comment Box is loading comments...