Itni Milti hai Mere Sheron Se
Teri surat
Log tujhko mera mehboob
Samajhte hain
Is gazal waale ka
Asloob Samajhte hain
Chaand kehta hun kise
khoob samajhte hain.
shafaq ki kirno ne
muhn choom liya
Ab bhala rukh pe
nakaab kya doge
Kabhi kabhi husan bhi
ban jaata hai duniya bhar ka tamasha
Aurat k liyr misr ka bazar hi qafi hai
PEEDAN
...............
Din de jism te ainne kande chubhe
Shaam sahimi rahi Raat rondi rahi
Wa pure di tapash nu ghata na sakki
Rut jaal peedan de chhohndi rahi
chhat kya giri kal mere
Kachhe makaan ki
Logon ne mere sehan se
Raste bna liye .
Is chaman k ped saare
Is liye murjha gaye
Jo hare patte tthe sab
Resham k keeday kha gaye
GUL E-RUKHSAAR PE JANA
WO KALA SA NAHI TIL HAI
KISI AASHIQ KA JAL BHUN KR
SIMAT KR REH GAYA DIL HAI
Angdai le k mujh pe
Apna khumaar dala
Jalim ki is ada ne
Bus mujhko maar daala .
Pehchano to jara jane
Dekho to aankh mal k
Hum tumse mil chuke hain
Surat badal badal k.
Tujhe jab dekhte hain hum
Tu chhip jata hai chilman me
Hame chilman se chhipkar
Tu bata fir dekhta kyun hai
Ye mausam , ye hawa Ye rut suhani Fir na aayegi
Are o jeene walay , zinsgani Fir na aayegi
Koyee hasrat na rakh dil me Jawani 4 din ki hai
Jawani mauz-e-dariya hai Jawani fir na aayegi.
Teri aankhon k ishaaron ki bahut yaad aayee
Aaj patjhad me bahaaron ki bahut yaad aayee
Kaheen tehreer se
Jal jaaye na khat
Haal-e-dil mujhko likhogi
To likhogi kaise .
Do boond shabnam ki
Zuroorat hai bas
Aur foolon ke yaouvan
Ko kya chahiye
Mujhko bna diya hai pathhar ka
Is se ziada to tu mita nahi sakta
Koyee Mujhko sata le Kitna bhi
Mera daawa hai ab Rula nahi sakta
Aisa nahi jahaan mein
Tujhsa haseeen nahi
Is dil ka kya krein
Ye behlata kaheen nahi
Subah ko be kafan
Laash mili parwano ki
Ye khatir huyee
Ek raat k mehmano ki.
Ragho me daudne k
Hum nahi kaayal
Jo aankh se na tapke
Wo khooooon hi kya
Larazna bund kr doon Aa
Labon ka aaj mein tere
Tera ye hontth neeche ka
Larazta kaampta kyon hai
Tujhse mukhatib hoon
Tere kreeb bhi hoon
Tujhko dekhoon
Ya tujhse baat kroon.